Wednesday, August 8, 2007

शब्द !

ये शब्द आज मुझमे कुछ इस तरह शामिल है
जैसे मै दरिया और ये मेरा साहिल है
कल ये मिलने आये थे मुझसे आज मैं इन्ही मे समाया हुआ हु।
ना जाने क्या कहना चाहते थे
साथ हु फिर भी घबराया हुआ हु
डर है कही किसी पल इन्हें खो ना दू
लहरों कि हलचल से इन्हें धो ना दु
काश इस रूह को, इस संसार से बचा पता मैं
काश इन शब्दो को, अपने प्यार मे छुपा पता मैं
ये शब्द जो इकरार है, और इन्कार भी
ये शब्द जो करार है, तो तकरार भी
ये शब्द ही तो मेरी पहचान है ,
ये शब्द ही तो इस दिल का हर अरमान है.
सजो कर रखना चाहता हू इन्हें जिन्दगी Bar
चाहता हू ये साथ रहे हर कदम हर सफ़र
जानता हु हर चीज़ नशवर है फिर भीं
सब्दो को अमर बनाना चाहता हू
हर दिल मे इनके यादो को basana चाहता हू
vishwas है ये शब्द यही rahenge,
हर विषम परिस्थितियों को ये दत कर sahenge
क्योंकि ये शब्द नही कल्पना है मेरी
और कल्पना कि उड़ान कभी थकती नही॥
ye आज है और कल भी रहेगी
बस आवाज़ आज है मेरी , तो कल होगी तेरी...

Monday, July 16, 2007

??????????????


Khuli khuli si ye ankhen
Thak gayi hai.
Ankhen band kerna chahti hu
Har chaah jivan ki jaise mar gayi hai
Fir bhi har lamhe ma sawarna chahti hu.

Par darti hu aaj har sapne se
Sapne har baar toot te jo hai
Lagte hai jo parayo me apne se
Unse jude(connected) har haath chhoot-te kyo hai?

Ek baat se mulakaat ka safar
Ek raah se judi na jane kitni dagar
Har dagar me basi ek pyas
Har pyas me bandhi kal ki ek aas
Yeh aas antaheen hai
Har sapne isi me vileen hai

Ek baar nahi har baar
Dhwast hoti hai isme ashhaye
Judte hai jab bhi dil ke taar
Paraast hoti hai abhilashaye

Fir bhi ye dil sapne dekhta hai
Jaanta hai kal ye phir tootenge,
Hazaaro beejo ko ye aksar ropta hai
Na jane inme ankur kab phootenge…..

Ma-Papa Ke Liye !

Nij pag pag per chalte chalte
Har rang roop me dhalte dhalte
Ujjawal bhavishya ki aas liye
Ek prem kalash ko saath liye ..

Ek naye safar me agrasit ho ker…
Har vishamtao me ajay aur amit ho ker…
Har dhoop chaav me sang chalker..
Ek dooje ke saanche me dhalker ….

Aaj ek naye shikhar per virajit hai
Ateet ke har pal jaha aaj swarit hai…

Wo pehla swar,
Wo pehla ghar,
Wo pehli muskaan,
Ghar ka wah pehla samaan…

Deewar per lage wah chitr
Kuch ajnabiyo me mile wah purane mitr,
Ghar ka wah chota sa chauka,
Prem abhivyakti ka wah har sambhav mauka…

Ghar ka wah chota sa kamra
Jaha din ki niymit bate hoti thi
Aur ghar ka wah ek chupa hua sa kona
Jaha Ma apne mayke ko yaad ker roti thi…

Pyar ka wah pehla tohfa
Jab ghar me pehli kilkari goonji thi…
Thandi hawa ka yeh pehla jhonka..
Ghar ki lakshmi..pyar ki poonji thi..

Fir aya ek naya savera
Ek naye mehmaan ki dastak..
Pariwar ka bhavi mukhiya
Nanhe kadmo ki thi ye nischal ahat

Wah nanhe pairo ka dheere dheere chalna
Kabhi ludhakna to kabhi sambhalna
Raat ke sannato ka kilkaroiyo se pighalna
Pareshaniyo me bhi khushiyo ka machalna

Kabhi mata pita, kabhi bhaiya bhabhi banker
Kabhi chacha chahi to kabhi mama mami banker..

Har rishte ko safalta se nibhate hue
Aane wali peedhe ko
Sabhyata aur sankriti ka
Paath padhate hue….

Jeevan ke har sangharsh ki dhoop me
Aaj hamare adarsh ke roop me
Hamare sabse priy dost banker
Hamare dil ki prajwalit jyot banker…

Hamare dil me rehte hai…
Kin shabdo me baya kare…
Shabdo me in bhawnao ko kaise bhare…
Na jane in bhawnao ko kaise kehte hai…

Hamara astitva aap ka hi to ansh hai..
Aap se hi to hamare jeevan ka har jashn hai..

Bahut pyar hai aapse,
Bas itna kehna chaahte hai…
Dil ki har khushi hai aapse..
Aapko hum Eeshwar se adhik maante hai..

Ab, aur kuch naa kah paaun shayad, Shabdhon me ashruon ko na piro paun shayad, Rundhte gale se, kuch aawaz bhi naa aapaye shayad… Bass…mere ye muk vachan, ye sab kahte hain…. Ki….hum aapse kitnaa pyar karte hain….. hum aapse kitnaa pyar karte hain.

"Ajnabi"

Kuch halki si ahat
Darwaje per ek dastak
Adhkhula wah fatak
Pravesh ki nischal chahat

Sabko lagta jo anjaan hai
Kehta hai purani koi pehchan hai
Bas do char din ka mehman hai
Kuch bahut jaroori kaam hai

Yeh kaun hai jo
Apni baton ka jadu chalane laga hai
Yeh kaun hai jo
Dil me chupe armano me jaagne laga hai

Jaagti ankho me khwaab kyo basne lage hai?
Tanhaiyo ke saap mehfilo me kyo dasne lage hai
Yeh kiska saath hai jo mitro se bhi priy hai
Yeh kiski aas hai jiske liye ye indriya sakriy hai..

" Prem "

Man ke anter-dwandh se kya koi bach paya hai?
Prem aur kartavya ke madhy prashn yahi to laya hai..

Sumadhur sangeet ki gunjit wah aahat
Banjar dhara per khada akela wah vriksha vat
Marudyaan me marubhumi si taravat
Sabkuch kho ker kuch pane ki chahat

Kya yahi prem hai?

" KAL"

Jindagi ka maja
Jo khamoshiyo se lete hai
Jindagi ko saja
Wo tanhaeyon me dete hai

Sannate ki chaap per
Kat ta hua har pal
Jindagi ki thaap per
Beeta hua wah kal

Yeh wah kal hi to hai
Jisne ye muskaan bikheri hai
Ye wah pal hi to hai
Jisme chipi yadein ghaneri hai

Chaar Linae..............

"Sagar me yu aate hai tufaan kaise
Lehro ki ye mastiya kyo rukti nai
Thak gaye hum roj unse na keh ke
Ek unki “ha “ hai ki thakti hi nahi"