Tuesday, March 13, 2007

Safar!

Arth se anarth tak,
Jeevan ke is gart tak,
Pratah ko saanjh mein,
Desh ke har praant mein ,


Uchit se anuchit tak,
Saral se vichtr tak ,
Koyal ki har kook mein,
Jeevan ke vibhinn swaroop mein


Aas ban ker, pyaas banker
Zindagi ki khushi athaah banker
Prem mein, glaani mein
Naino ki is soormadaani mein


Khwaab ben ker, intezar ban ker
Sukh-dikh me apna parivaar ban ker
Ek chaah si uthti hai
Zindagi kuch pal ko jaha rukti hai,


Mrig mareechika si ye manzil
Anjaano mein kuch pehchano ki mehfil;
Jeevan ki is rail mein
Samay ke is khel mein


Dhundh ke saye hat te hi
Apni parchaiyon ke simat te hi
Chalti hai nayi raah per
Anjaane dagar ki chaan per


Dhoondne ek aisa such anant
Jiska na ho aadi na ant
Aankho me nayi aasha ke sang
Jeevan ki nayi paribhasha ke sang


Ek dost ki talash mein
Gulmohar mein,palash mein
Bas chalte jana hai
Jeevan ka yahi to tarana hai.............

Dekha hai Tumhe!

Zindagi ki raah per
Dil ki har chaah per
Khayalo me machalte hue
Tanha raato me pighalte hue
Maine tumhe dekha hai....................


Dekha hai tumhe apni har soch me
Anchahe path per ayi jivan ki har moch me
Apne ruke hue har ashko ki shaan me
Meri har chahi anchahi pehchaan me
Ha! Maine tumhe dekha hai...........


Ek deewar jo mera sahara hai
Ek deewar jisne pareshaniyo se mujhe ubara hai
Bachaya hai mujhe tufan ke thapedo se
Sambhala hai mujhe amavas ke un pehro me
Ha! Sach hai maine tumhe dekha hai.............


Tumhara ehsaas hi tumhara saath hai
Zindagi ki har pyaas bas tumhara haath hai
Koi chaah nahi tumse
Per kitna chaahti hu tumhe
Kyo tumhari ek aah per
Sihar jati hu mai...


Tumhare pyar ko dekha nahi
Mehsoos kiya hai
Sansarik vishamtao ne
Kitna majboor kiya hai
Tum door ho fir bhi kitne paas ho
Is rooh me chalti hui meri saas ho...


Khwaab me, tanhai me
Hakikat me, parchai me
Sach hai! Maine tumhe dekha hai..................

Vidambana!

Nisha ki chadar odhte hi
Hawao ka rukh modte hi
Timtimate taro ki kahani leker
Chandrama nikle nayi jawani leker

Yahi ichhaa (desire) Maa ke man me samahit hai
Chandrma ki prateeksha me hi uske karmo ka hit hai


Putr (son) ratn ki praapti ka harsh to manana hoga
Putri bhi priy hai to kya?
Putr ka bhaagya to jagana hoga


Kyonki hamare poorwaj bhi yahi kerte aaye hai
Poorn bhakti se chndr naman karte aaye hai
Putr ka bhagya chandrama sa ujjwal rahe
Yahi kaamna prabhu se karti hai
Chaahti hai jeewan uska khushiyo se bhara rahe
Jaanti hai prabhu sabka dukh harte hai


Chaah hai koi vrat putri ke liye bhi karu
Uske bhi jeewan ke kuch kasht haru
Per kya kare, budhi saath nahi deti hai
Har soch per, kuch prashn khade ker deti hai


Putr aur priy ki abhilasha liye
Unke bhaagyoday ki hriday (heart) me bhasha liye
Kayee vrato ka srijan hua hai
Parantu putri aur priya ki chaah
Hi hai kya jeewan ki wah raah
Jisper chalne ki kisi ne na sochi thi
Ya apno ka kalyaan striyo ki hi soch hoti thi?
Jo bhi ho riwajo ko to nibhana hoga
Putri kalyaan ka vichaar, vichaaro me hi samana hoga
Aise bhi dil ki baat dil tak pahuchti hai

Maa jaanti hai putri uski vyatha samajhti hai

TUM HI TO HO NAA!!!!!!

TUM HI TO HO NAA!!!!!!

Bachpan ke khilauno mein
Ladakpan ke bahano mein
Javani ke tarano mein
Budhape ke fasano mein
Tumhi to ho na..............


Gaon ke kheto mein
Registaan ki reito mein
Raat ke us pahar mein
Neharo ki har lehar mein
Tumhi to ho na...................


Maa ke vishvaas mein
Pita ke aashwaas mein
Bhai ke zazbaat mein
Mere har ehsaas mein
Tumhi to ho na.


Hawa ki is chaal mein
Leharo ki is taal mein
Mere beete har saal mein
Kal ke har sawaal ke jawaab mein
Tumhi to ho na.................


Mere khwabon mein, mere jawabo mein
Mere sukoon mein, mere junoon mein
Meri muskaan mein
Is dil mein basi choti si jaan mein
Tumhi to ho na................


Meri har saans mein
Meri har aawaj mein
Jeevan ke har pal mein
Din ki har halchal mein
Tumhi to ho na..................


Gar tumhi har jagah ho, To main kaha hu?
Kya tumhari bhi hasti ka, Mai hi aaina hu?
Kya hamara saath sach me sacha hai?
Samajh nahi aata kya ye dil abhi bhi bacchha hai?


Har nazar pehchani si lagti hai,
Apni aawaz hi anjani si lagti hai
Har raahi tumsa lagta hai
Apno ka chehra hi begaano sa lagta hai


Tumhare siva kuch soojhta hi nahi
Deemag ke sawalo se dil joojhta hi nahi
Sapno me basa har sukh anant
Is jeewan ka aadi aur ant
Tumhi to ho na....................