Monday, July 16, 2007

Ma-Papa Ke Liye !

Nij pag pag per chalte chalte
Har rang roop me dhalte dhalte
Ujjawal bhavishya ki aas liye
Ek prem kalash ko saath liye ..

Ek naye safar me agrasit ho ker…
Har vishamtao me ajay aur amit ho ker…
Har dhoop chaav me sang chalker..
Ek dooje ke saanche me dhalker ….

Aaj ek naye shikhar per virajit hai
Ateet ke har pal jaha aaj swarit hai…

Wo pehla swar,
Wo pehla ghar,
Wo pehli muskaan,
Ghar ka wah pehla samaan…

Deewar per lage wah chitr
Kuch ajnabiyo me mile wah purane mitr,
Ghar ka wah chota sa chauka,
Prem abhivyakti ka wah har sambhav mauka…

Ghar ka wah chota sa kamra
Jaha din ki niymit bate hoti thi
Aur ghar ka wah ek chupa hua sa kona
Jaha Ma apne mayke ko yaad ker roti thi…

Pyar ka wah pehla tohfa
Jab ghar me pehli kilkari goonji thi…
Thandi hawa ka yeh pehla jhonka..
Ghar ki lakshmi..pyar ki poonji thi..

Fir aya ek naya savera
Ek naye mehmaan ki dastak..
Pariwar ka bhavi mukhiya
Nanhe kadmo ki thi ye nischal ahat

Wah nanhe pairo ka dheere dheere chalna
Kabhi ludhakna to kabhi sambhalna
Raat ke sannato ka kilkaroiyo se pighalna
Pareshaniyo me bhi khushiyo ka machalna

Kabhi mata pita, kabhi bhaiya bhabhi banker
Kabhi chacha chahi to kabhi mama mami banker..

Har rishte ko safalta se nibhate hue
Aane wali peedhe ko
Sabhyata aur sankriti ka
Paath padhate hue….

Jeevan ke har sangharsh ki dhoop me
Aaj hamare adarsh ke roop me
Hamare sabse priy dost banker
Hamare dil ki prajwalit jyot banker…

Hamare dil me rehte hai…
Kin shabdo me baya kare…
Shabdo me in bhawnao ko kaise bhare…
Na jane in bhawnao ko kaise kehte hai…

Hamara astitva aap ka hi to ansh hai..
Aap se hi to hamare jeevan ka har jashn hai..

Bahut pyar hai aapse,
Bas itna kehna chaahte hai…
Dil ki har khushi hai aapse..
Aapko hum Eeshwar se adhik maante hai..

Ab, aur kuch naa kah paaun shayad, Shabdhon me ashruon ko na piro paun shayad, Rundhte gale se, kuch aawaz bhi naa aapaye shayad… Bass…mere ye muk vachan, ye sab kahte hain…. Ki….hum aapse kitnaa pyar karte hain….. hum aapse kitnaa pyar karte hain.

No comments: