Tuesday, March 13, 2007

Dekha hai Tumhe!

Zindagi ki raah per
Dil ki har chaah per
Khayalo me machalte hue
Tanha raato me pighalte hue
Maine tumhe dekha hai....................


Dekha hai tumhe apni har soch me
Anchahe path per ayi jivan ki har moch me
Apne ruke hue har ashko ki shaan me
Meri har chahi anchahi pehchaan me
Ha! Maine tumhe dekha hai...........


Ek deewar jo mera sahara hai
Ek deewar jisne pareshaniyo se mujhe ubara hai
Bachaya hai mujhe tufan ke thapedo se
Sambhala hai mujhe amavas ke un pehro me
Ha! Sach hai maine tumhe dekha hai.............


Tumhara ehsaas hi tumhara saath hai
Zindagi ki har pyaas bas tumhara haath hai
Koi chaah nahi tumse
Per kitna chaahti hu tumhe
Kyo tumhari ek aah per
Sihar jati hu mai...


Tumhare pyar ko dekha nahi
Mehsoos kiya hai
Sansarik vishamtao ne
Kitna majboor kiya hai
Tum door ho fir bhi kitne paas ho
Is rooh me chalti hui meri saas ho...


Khwaab me, tanhai me
Hakikat me, parchai me
Sach hai! Maine tumhe dekha hai..................

1 comment:

Vikash said...

"देखा है तुम्हे अपनी हर सोच मे
अनचाहे पथ पर आयी जीवन की हर मोच मे"

वाह! प्रेम मे सब कुछ विस्मृत करने का भाव मन को लुभा गया।